Search in this Site

Search This Blog

Wednesday, December 3, 2014

(7.2.26) Vrind Ke Dohe / Dohe of Vrind (Page - Fourth)

Kavi Vrind Ke Dohe / Poet Vrind



(For Hindi Translation in Dev nagari script click here)
Like other popular poets, the poet Vrind is also famous. His Dohes teach us practical knowledge and experience of life.They are very popular among the persons who have literary taste.  They are educative and have proved very useful to readers. The language of Vrind is easy to comprehend but it has deep meaning which has indelible impression on the mind of the reader.
Besides already published, the following are some more Dohes composed by the Poet Vrind which, we hope, will be enjoyed by the visitors to this site. 
(1) Karat - Karat abhyaas ke, Jadmati hot sujaan.
Rasaree aavat jaat te, sil par parat nisaan.
Meaning in Hindi - Kue se paanee kheechane ke liye baandhee huyee komal  rassi kue ke kinaare par rakhe hue patthar se baar - baar ragad khaane se patthar par bhee nishaan ban jaate hain . Theek usee prakaar baar - baar abhyaas karke mand buddhi vyakti bhee kai nayee baaten seekh kar unakaa jaanakaar ho jaataa hai .
========================================================================
(2) Apanee pahunch vichaari ke, kartab kariye dour.
Tete paanv pasaariye, jetee laambi sour.
Meaning in Hindi - Vyakti ke paas odhane ke liye jitnaa lambaa kambal ho, utane hee lambe pair pasaarane chaahiye. Usee prakaar vyakti ko apane paas upalabdh saadhano ke anusaar hee apanaa kaarobaar failaanaa chaahiye.
========================================================================
(3) Bhale-Bure sab ek se, jo lo bolat naahin.
jaan parantu hai kaak-pik, ritu basant kaa mahin.
Meaning In Hindi - Jab tak koi vyakti boltaa nahin hai, tab tak uske bhale yaa bure hone kaa pataa nahin chalta hai. Jab vah bolta hai tab gyat hota hai ki vah bhalaa hai yaa bura hai. Jaise vasant ritu aane par jab kouva aur koyal bolte hai, tab unkee kaduvee aur meethee vaanee se gyat ho jaataa hai ki koun bura hai aur kon bhalaa hai.
========================================================================
(4) Jo jako gun jaanhee, so tihi aadar det.
Kokil abri let hai, kaag nibouree let.
Meaning in Hindi- Jo vyakti jiske gunon ko jaantaa hai, vah usee ke gunon kaa aadar-samman karta hai. Jaise koyal aam kaa rasaaswadan kartee hai jabki koua neem kee nimboree se hee santusth ho jaata hai.
========================================================================
(5) Pher na hvai (ह्वै ) hai kapat so, jo keeje byopar.
jaise handee kaath kee, chadhe na dujee baar.
Meaning in Hindi - Jis prakar Lakdi se banee hui handee (bartan) ko dubaaraa chulhe par nahin chadhayaa jaa saktaa hai, theek usee prakaar jo manushya kapat purvak vyapaar kartaa hai, uskaa vyapaar lambe samay tak nahin chaltaa hai. Yahee baat vyakti ke vyavhaar aur aacharan par bhee laagu hoti hai.
=======================================================================
(6) Naina det bataay sab, hiye ko het ahet.
Jaise nirmal aarsee, bhalee-buree kahee det.
Meaning in Hindi - Jis prakaar sawachh  darpan kisee vyaktee kee vastvik chavi ko bataa detaa hai. Usee prakaar kisee vyakti ke man men dusre vyakti ke prati sneh kaa bhaav hai ya dwesh kaa bhaav hai, yeh baat uske netron ko dekh kar hee gyat kee ja saktee hai.
========================================================================
(7) Ati hath mat kar, hath badhe, baat na  karihai koy.
Jyon-jyon bheeje kaamri, tyon-tyon bharee hoy.
Meaning in Hindi - Jis prakar kambal ke bheegte rahne se vah bharee hotaa jaataa hai, usee prakaar kisee vyakti ke hath yaa jid karne se, uskaa jiddeepan badhtaa jaataa hai tatha ek samay aisa aataa hai ki log uske hathee sawbhav ke kaaran usase baat karnaa bhee pasand  nahin karte hain .
Note - For other Dohes of Vrind go to  - Page - First , Page - Second , Page - Third , Page - Fourth
Other posts you will like to read - 
(7.2.17) Vrind Kavi ke dohe
(7.2.16) Rahim ke dohe 
(7.2.19) Kavi Ghagh Ki Kahavaten 
(7.2.18) Bihari ke Dohe
(7.2.13) Kabir ke Dohe 
(7.2.14) Subhashitani
(7) Good spiritual articles
(7.2.21) Bhaddari ki Kahavaten
(7.2.22) Tulsidas ke Dohe

Search This Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...