Search in this Site

Search This Blog

Tuesday, July 15, 2014

(7.2.20) Vrind Ke Dohe / Dohe of Vrind (Page - Second)

Vrind Ke Dohe /Kavi Vrand Ke Dohe 

(For Hindi Translation in Dev nagari script click here)
The poet Vrind's Dohes are very popular among the persons who have literary taste.
His Dohes teach us practical knowledge and experience of life. The language of Vrind is easy to comprehend but it has deep meaning which has indelible impression on the mind of the reader.

The following are some of the Dohes composed by the Poet Vrind which we hope that the visitors to this site  will enjoy them also.
 (1) Jaako jahaan swaarath sadhe, Sohi taahi suhaat.
Chor na pyaaree chaandanee, Jaise kaaree raat.
Meaning in English -  
Everybody likes the things or places where his interests are accomplished. Though moon light looks very beautiful and pleasant yet a thief does not like it. He (the thief) likes dark nights more than the moonlit nights ( though they are more unpleasant and uglier than the moonlit nights.) 
----------
(2) Bhalee karat laagat bilam, Bilam na bure vichaar.
Bhawan banaavat din lage, Dhaahat lage na baar. 
Meaning in English -
It takes time to do good things whereas for doing bad things it is easy and does not take a long time. In getting a building constructed, it takes a long time, but in dismantling or destroying it , it takes no time.
------------
(3) Binaa swaarath kaise sahe , kou (कोऊ) karuve bain.
Laat khaay puchakaarye, hou (होऊ ) dudhaaru dhain.
Meaning in English - 
No one endures the bitter words of others without any interest.People fondle or caress a milch cow (a cow which gives milk) even if it kicks them.
--------
(4) Hitahoo bhalo na neech ko, naahin bhalo ahet.
Chaat apaavan tan kare, kaat swaan dukh det.
Meaning in English -
Neither the good deeds nor the bad deeds done by an ignoble person are beneficial. If a dog licks  someone, it makes his body dirty or filthy and if it (the dog) bites someone, it causes harm to him and proves troublesome.
-------------
(5) Swaarath ke sabahi sage, bin swaarath kou (कोऊ) naahi.
Sevai panchee saras taru, niras bhaye ud jaahi.
Meaning in English -
The  birds sit and make their nests on a green tree but when the tree is dried, no bird likes to stay on that tree. Similarly people enjoy the company of others till their interest is fulfilled. After it they leave their company and go away.
------------
(6) Neekee pe pheekee lage, bin avasar kee baat.
Jaise baranat yuddha men, ras shringaar na suhaat.
Meaning in English - 
If the thing (even if it is good), is said at the improper time, it looks bad , unpleasant and charmless and has wrong impression. When the battle is going on , the talking about love and beauty, does not look good and nobody likes it.
-----------
(7) Madhur vachan te jaat mit, uttamjan abhimaan.
Tanik seet jal se mite, jaise doodh uphaan.
Meaning in English - 
The boiled over milk can be calmed down by sprinkling a few drops of cool water over it. In the same way the anger of a good person can be cooled down by speaking a few sweet words to him. 
----------
Vrind Ke Dohe Part 2
(1) Karat - Karat abhyaas ke, Jadmati hot sujaan.
Rasaree aavat jaat te, sil par parat nisaan.
Meaning in Hindi - Kue se paanee kheechane ke liye baandhee huyee komal  rassi kue ke kinaare par rakhe hue patthar se baar - baar ragad khaane se patthar par bhee nishaan ban jaate hain . Theek usee prakaar baar - baar abhyaas karke mand buddhi vyakti bhee kai nayee baaten seekh kar unakaa jaanakaar ho jaataa hai .
========================================================================
(2) Apanee pahunch vichaari ke, kartab kariye dour.
Tete paanv pasaariye, jetee laambi sour.
Meaning in Hindi - Vyakti ke paas odhane ke liye jitnaa lambaa kambal ho, utane hee lambe pair pasaarane chaahiye. Usee prakaar vyakti ko apane paas upalabdh saadhano ke anusaar hee apanaa kaarobaar failaanaa chaahiye.
========================================================================
(3) Bhale-Bure sab ek se, jo lo bolat naahin.
jaan parantu hai kaak-pik, ritu basant kaa mahin.
Meaning In Hindi - Jab tak koi vyakti boltaa nahin hai, tab tak uske bhale yaa bure hone kaa pataa nahin chalta hai. Jab vah bolta hai tab gyat hota hai ki vah bhalaa hai yaa bura hai. Jaise vasant ritu aane par jab kouva aur koyal bolte hai, tab unkee kaduvee aur meethee vaanee se gyat ho jaataa hai ki koun bura hai aur kon bhalaa hai.
========================================================================
(4) Jo jako gun jaanhee, so tihi aadar det.
Kokil abri let hai, kaag nibouree let.
Meaning in Hindi- Jo vyakti jiske gunon ko jaantaa hai, vah usee ke gunon kaa aadar-samman karta hai. Jaise koyal aam kaa rasaaswadan kartee hai jabki koua neem kee nimboree se hee santusth ho jaata hai.
========================================================================
(5) Pher na hvai (ह्वै ) hai kapat so, jo keeje byopar.
jaise handee kaath kee, chadhe na dujee baar.
Meaning in Hindi - Jis prakar Lakdi se banee hui handee (bartan) ko dubaaraa chulhe par nahin chadhayaa jaa saktaa hai, theek usee prakaar jo manushya kapat purvak vyapaar kartaa hai, uskaa vyapaar lambe samay tak nahin chaltaa hai. Yahee baat vyakti ke vyavhaar aur aacharan par bhee laagu hoti hai.
=======================================================================
(6) Naina det bataay sab, hiye ko het ahet.
Jaise nirmal aarsee, bhalee-buree kahee det.
Meaning in Hindi - Jis prakaar sawachh  darpan kisee vyaktee kee vastvik chavi ko bataa detaa hai. Usee prakaar kisee vyakti ke man men dusre vyakti ke prati sneh kaa bhaav hai ya dwesh kaa bhaav hai, yeh baat uske netron ko dekh kar hee gyat kee ja saktee hai.
========================================================================
(7) Ati hath mat kar, hath badhe, baat na  karihai koy.
Jyon-jyon bheeje kaamri, tyon-tyon bharee hoy.
Meaning in Hindi - Jis prakar kambal ke bheegte rahne se vah bharee hotaa jaataa hai, usee prakaar kisee vyakti ke hath yaa jid karne se, uskaa jiddeepan badhtaa jaataa hai tatha ek samay aisa aataa hai ki log uske hathee sawbhav ke kaaran usase baat karnaa bhee pasand  nahin karte hain .
Note - For other Dohes of Vrind go to  - Page - First ,  Page Second ,  Page - Third ,  Page - Fourth
Other posts you will like to read - 
(7.2.17) Vrind Kavi ke dohe
============
(7.2.16) Rahim ke dohe 
-===========
(7.2.19) Kavi Ghagh Ki Kahavaten 
==============
(7.2.18) Bihari ke Dohe
=============
(7.2.13) Kabir ke Dohe 
=============
(7.2.14) Subhashitani
==========
(7) Good spiritual articles
============
(7.2.22) Tulsidas ke Dohe
===========

Search This Blog

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...